Thursday 13 December 2012

khumar ab to masjid mein janey lagy hain

Woh Hain pass aur yaad aney lagey hain
Muhabbat ka Hosh Ab churaney lagey hain

Suna hai Hamein wo bhulaney lagey hain
To kya ham unhein yaad aney lage hain

Hat-taey thy jo Raah sey Doston ki
Wo pathar Mere Gher mein aaney lage hain

Woh phir mujhey yaad aney lagey hain
Jinhein Bhoolny Mein zamaney Lagey hain

Yeh kehna tha unse mohabbat hai mujh ko,
yeh kehney mein mujh ko zamaney lagey hain,

Qayamat yaqeenan ab qareeb agayi hai,
khumar ab to masjid mein janey lagy hain,

No comments:

Post a Comment